Jab Se Tum Gaye Ho poem by Mansi Soni | Social House Poetry

Jab Se Tum Gaye Ho poem by Mansi Soni ❤️ | Social House Poetry :




 जबसे तुम गए हो जिंदा रहते हुए मुझे मौत का एहसास कुछ इस कदर हो रहा है

मानो मौत मेरे साथ बैठी जिंदगी बिता रही हो

हमारे इश्क की दास्तान लिखी हो जिस पर 

मैं तो वो किताब बनना चाहती थी 


मगर जब से तुम गए हो मैं फकत उसका एक किस्सा बन कर रह गई हूं

पूरी दुनिया साथ घुमाने के ख्वाब दिखाए थे ना तुमने 

मगर जबसे तुम गए हो ख्वाब देखना तो दूर 

मुझे तो सोने से भी डर लगने लगा है


अब अपने पसंदीदा गानों की प्लेलिस्ट मैं किसी भी अजनबी के साथ शेयर कर लेती हूं

मगर वो गाने जो कभी तुमने और मैंने साथ बैठकर सुने थे

उनकी जगह किसी प्लेलिस्ट में नहीं हैं 

वो तो ताउम्र मेरे दिल-अो-दिमाग में कैद होकर रहेंगें


और जब भी मैं उन्हें सुनती हूं तो वो मुझे उस समय में ले जाते हैं 

जहां तुम्हारे और मेरे बीच ये और, और ना ही कोई और था तुम्हें याद है वो घड़ी जो तुमने मुझे तोहफे में दी थी

उस घड़ी ने मुझे मेरी जिन्दगी के बहुत से हसीन पल दिखाए है

मगर जबसे तुम गए हो वो घड़ी मुझे कुछ अजीब से वक्त दिखाने लगी है

मैंने खुद को पहचानना बंद कर दिया है


जबसे तुम गए हो 

क्योंकि आईने में खड़ी वो लड़की 

जिसकी आँखों में अब तुम्हारा चेहरा नहीं दिखता

जिसके होठों पर एक नकली सी मुस्कुराहट रहती है 

वो लड़की जो तुम्हें बेवफाई की बाज़ी जिताकर खुद ज़िन्दगी से हार गई हो 

वो लड़की मैं नहीं हो सकती 


वो कोई और है 

तुम तो जानते ही थे मुझे अँधेरे से कितना खौफ आता था

मगर जब से तुम गए हो मैं अपने कमरे के किसी भी कोने में रौशनी का आना पसंद नहीं करती

मुझे डर रहता है कि अगर वो रौशनी तुम्हारी सिमटी हुई यादो पर जा गिरी 


तो मैं फिर से बिखर जाउंगी

मुझे वो सब याद आने लगेगा 

जिसे मैं भुलाने की कोशिश में हूं

जिंदगी से तो और भी रंजिशें रहने लगी है मुझे। 

जबसे तुम गए हो 


मगर मेरी ये रंजिशें मेरे घाव, मेरी बेज़ारी मैं किसी के सामने जाहिर नहीं करती

बस अब लिख लेतीं हूं


                                                – मानसी सोनी❤️


Jabse tum gaye ho zinda rahte hue mujhe maut ka ehsaas kuchh is kadar ho raha hai

Maano maut mere saath baithi zindagi bita rahi ho

Hamaare ishq ki daastaan likhi ho jis par 

Main to wo kitaab banana chaahti thi 


Magar jab se tum gaye ho main fakat uska ek kissa ban kar rah gayi hoon

Poori duniya saath ghumaane ke khwaab dikhaye the na tumne 

Magar jabse tum gaye ho khwaab dekhna to door 

Mujhe to sone se bhi dar lagne laga hai


Ab apne pasandida gaanon ki playlist main kisi bhi ajnabi ke saath share kar leti hoon

Magar wo gaane jo kabhi tumne aur maine saath baithkar sune the

Unki jagah kisi playlist mein nahin hain 

Wo to ta-umr mere dil-o-dimaag mein kaid hokar rahenge

Aur jab bhi main unhein sunti hoon to wo mujhe us samay mein le jaate hain 


Jahaan tumhaare aur mere bich ye aur, aur na hi koi aur tha 

Tumhein yaad hai wo ghadi jo tumne mujhe taufe mein di thi

Us ghadi ne mujhe meri zindagi ke bahut se haseen pal dikhaye hai

Magar jabse tum gaye ho wo ghadi mujhe kuchh ajeeb se waqt dikhaane lagi hai

Maine khud ko pahchaanna band kar diya hai


Jabse tum gaye ho 

Kyonki aaine mein khadi wo ladki 

Jiski aankhon mein ab tumhaara chehra nahin dikhta

Jiske hothon par ek nakali si muskuraahat rahti hai 

Wo ladki jo tumhen bewfai ki baazi jitaakar khud zindagi se haar gayi ho 

Wo ladki main nahin ho sakati 


Wo koi aur hai 

Tum to jaante hi the mujhe andhere se kitna khauf aata tha

Magar jab se tum gaye ho main apne kamre ke kisi bhi kone mein raushni ka aana pasand nahin karti

Mujhe dar rahta hai ki agar wo raushni tumhaari simti hui yaado par ja giri 

Toh main phir se bikhar jaungi


Mujhe wo sab yaad aane lagega 

Jise main bhulaane ki koshish mein hoon

Zindagi se to aur bhi ranjishein rahane lagi hai mujhe

Jabse tum gaye ho 


Magar meri ye ranjishein mere ghaav, meri bezaari main kisi ke saamane zaahir nahin karti

Bas ab likh leti hoon...


                                                        – Mansi Soni❤️


https://youtu.be/gTZw3Xet-_4

Previous
Next Post »