Kya Dhoondh Rahe Ho Poetry with lyrics, by Amandeep Singh.

Kya Dhoondh Rahe Ho Poetry (Amandeep Singh):

Representing the lyrics of the beautiful composition Kya dhoond rahe ho by Amandeep Singh-

kya dhoond rahe ho poetry lyrics


Meri Soch Ne Yeh Sawaal Kiya
Phir Jawaab Ne Yeh Soch Liya. . .

Meri Soch Ne Yeh Sawaal Kiya
Phir Jawaab Ne Yeh Soch Liya. . .

Roz Kuch Naya Paane Ki Chah Main
Hum Ne Khud Ko Kitna Badal Diya. . .

Daude Udhar Jidhar Aaftab Tha
Ghar Par Chaand Ko Yuhi Chhor Diya. . .

Apne Pairon Par Khade Hone Ke Liye Humne
Ghutno Ko Ragda. . .
Maroda. . .
Aur Phir Tor Diya. . .

Tum. . .
Haan. . . Tum. . .
Tumhe Lagta Hai Tum Yeh Badal Doge. . ?

Tum. . .

Jo Khush Nahi Rehte Raaton Ko
Din Bhar Dohrate Ho Baaton Ko
Baitho Laal Subha Tak Kabhi. . .
Yaad Karo Usse Yunhi
Woh Bachha Kya Chahta Tha. . ?
Madham. . . Madham Kya Kehta Tha. . ?

Ek Khilone Wale Hawai Jahaj Par
Baith Kar Usko Udhna Tha. . .

Kisi Gudiya Ki Surk Aankhon Mein
Apna Kajal Bharna Tha. . .

Tumhe Lagta Hai. . ?
Tum Usse Badal Doge. . ?

Apna Raasta Dhundh Kar Chal Doge. . ?
Bhaiya Bhool Gaye Kya Duniya Gol Hai. . ?
Tumne Jo Khoya Tha Wo Hee Anmol Hai. . .

Khoya Kya Hai. . ?
Jhaakho Andar. . .
Dekho. . .


(kya dhoond rahe ho poetry lyrics)


Koi Besh Kimti Hira Tha. . ?
Uth Ke Muh Mein Jeera Tha. . ?
Sone Ka Auzaar Tha. . ?
Ya Sachha Kisi Ka Pyaar Tha. . ?

Tumhara Peela Joota The. . ?
Ya Sikka Wo Jo Loota Tha. . ?

Mila. . ?
Nahi Na. . ?

Nahi Milta Wo Jo Kho Jaata Hai. . .
Kyun Ki Khoya Wo Nahi Jo Tum Paa Na Sake
Khoya Toh Wo Hai. . .
Jo Kuch Aur Paane Ki Hor Mein Tumne Gawa Diya. . .

Dekho Kitni Tez Daude Ho Tum. . .

Dekho Kitni Tez Daude Ho Tum
Bhage Aur Kude Ho Tum. . .

Upar Se Bada Bhaari Tha
Wo Basta Zimmedari Ka. . .
Hogaya Dekho Aadha Khoon
Kho Diya Tumne Pura Sukoon. . .

Nahi Milta Na Sukoon Aaj-Kal. . ?

Ab Bhaiya Jeb Mein Phone
Aur Paison Ke Baad
Jagah Kahaan Bachti Hai. . .
Itni Kahaan Ki Jaldi Hai. . ?

Kidhar Jaana Hai. . ?
Kidhar Bhaagna Hai. . ?
Der Se Sona Hai Phir Jaldi Jaagna Hai. . .

Chahe Karni Nakal Hai
Par School Mein Aana Awwal Hai. . .

Dil Ki Kahin Baat Par
Kyun Dhyaan Dena Hai. . .

Sasta Tikau Jaisa Bhi Mile
Par Job Pehle Lena Hai. . .

Phir 5 (Paanch) Din Ragad Kar Khudko
Aaram Weekend Par Chhoroge. . .

Zindagi Bhar Ka Saara Sukoon Bhaiya
Do Dino Mein Nichodoge. . ?

Batao. . .
Ruk Jao. . .
Dum Lo. . .

-----------------------------------

Kaam Na Khatam Hogaya Hai. . .
Shunya Par Ruk Kar Saans Lo. . .
Dheere. . . Dheere. . .
Andar. . . Bahar. . .

Zindagi Ko Le Jaane Do Tumhe Wahan
Jahaan Wo Le Jaana Chahti Hai. . .

Aise Hee Toh Udaan Li Jaati Hai
Khilone Wale Hawai Jahaj Par. . .

Baitho. . .

Baitho Aur Spane Dekho
Gairon Ke Nahi Apne Dekho. . .
Hawan Ko Behne Do Baalon Se. . .
Baatein Karo Apne Chhalon Se. . .

Kisi Shaam Khwabon Ke Liye Bhi
Chuuti Khareed Kar Laaya Karo. . .

Chupke Se Phir Pichli Khidki Se
Sukoon Ko Bulaya Karo. . .

Rok Kar Ghadi Ke Kaaton Ko Tum
Phir Raat Yunhi Zaaya Karo. . .

Yaad Hai Na. . ?
Faiz Ne Kaha Hai. . .

Ki Dil Na Umeed Toh Nahi
Nakaam Hee Toh Hai. . .
Bahut Lambi Hai Gum Ki Shaam
Magar Shaam Hee Toh Hai. . .

Toh Chalne Dona Shaam Ko Apni Raftaar Se
Maana Ki Thodi Gam Bhari Hai. . .
Par Hai Toh Apne Haq Ki Shaam. . .

Apne Haq Ki Raat Bhi Hogi
Apne Haq Ke Taarein Hai. . .
Chaand Sabka Hai Toh Rehne Do Bhaiya
Jugnoo Toh Hamare Hai. . .

Isliye Amrita Ban Kar Sahir Ko Chahne Mein
Itna Mat Ulaj Jaana Ki Tum Imroz Ko Dekh Bhi Na Pao. . .

Sahir Tumhara Junoon Hai
Magar Imroz. . .
Tumhara Sukoon. . .

Milna Zaroor Usse. . .

Banane Dena Usse Tumhari Tasveerin
Taaki. . .

Jaate Jaate Tum Bhi Keh Sako
Ki Main Tenu Phir Milaangi. . .

Yaar Geet Ko Aditya Bhi Train Chutne Par Hee Mila Tha
Isliye Kuch Kaam Galat Hone Dona. . .

Zindagi Apni Chaalein Aise Hee Chalti Hai
Sukoon Ke Pal Churana Seekho. . .

Kabhi Kisi Kaam Ko Na Karke Dekho
Kai Dafa Aise Bhi Baat Banti Hai. . .

Khud Ko Taufe Do
Gulzar Ki Kitabein Kharido. . .
Pyaar Me Giro. . .
Sambhlo Aur. . .
Phir Doob Jao. . .

Kisi Ajnabi Ke Saath Ek Lambi Sair Par Jao. . .
Kahaaniya Suno. . . Kavita Bano. . .
Kahi Beech Mein Ruk Kar Ek Shabd Ko Bar-Bar Padho. . .

Tumhe Nahi Pata Tum Kab Wapis Bula Liye Jaaoge
Kisi Roz Kahin Der Se Pahuncho Aur
Intezaar Karne Do Kismat Ko Tumhara. . .

Agar Woh Pucche Ki Kahaan Reh Gaye The. . ?
Toh Muskura Kar Kehna. . .

Jo Aye Zindagi Jeene Mein Thoda Vyast Tha. . .

Thank you for reading, please leave comments and visit again dailyshayaris

Watch Video Here




Previous
Next Post »